Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte

Bekhud Dehlvi

aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    āshiq haiñ magar ishq numāyāñ nahīñ rakhte

    ham dil tarah chaak garebāñ nahīñ rakhte

    sar rakhte haiñ sar meñ nahīñ saudā-e-mohabbat

    dil rakhte haiñ dil meñ koī armāñ nahīñ rakhte

    nafrat hai kuchh aisī unheñ āshufta-saroñ se

    apnī bhī vo zulfoñ ko pareshāñ nahīñ rakhte

    rakhne ko to rakhte haiñ ḳhabar saare jahāñ

    ik mere dil vo ḳhabar haañ nahīñ rakhte

    ghar kar ga.iiñ dil meñ vo mohabbat nigāheñ

    un tīroñ zaḳhmī huuñ jo paikāñ nahīñ rakhte

    dil de koī tum ko to kis ummīd par ab de

    tum dil to kisī bhī mirī jaañ nahīñ rakhte

    rahtā hai nigahbān mirā un tasavvur

    vo mujh ko akelā shab-e-hijrāñ nahīñ rakhte

    dushman to bahut hazrat-e-nāseh haiñ hamāre

    haañ dost koī aap nādāñ nahīñ rakhte

    dil ho jo pareshān to dam bhar bhī na Thahre

    kuchh bāñdh ke to gesu-e-pechāñ nahīñ rakhte

    go aur bhī āshiq haiñ zamāne meñ bahut se

    'beḳhud' tarah ishq ko pinhāñ nahīñ rakhte

    aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte

    hum dil ki tarah chaak gareban nahin rakhte

    sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat

    dil rakhte hain dil mein koi arman nahin rakhte

    nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se

    apni bhi wo zulfon ko pareshan nahin rakhte

    rakhne ko to rakhte hain KHabar sare jahan ki

    ek mere hi dil ki wo KHabar han nahin rakhte

    ghar kar gain dil mein wo mohabbat ki nigahen

    un tiron ka zaKHmi hun jo paikan nahin rakhte

    dil de koi tum ko to kis ummid par ab de

    tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte

    rahta hai nigahban mera un ka tasawwur

    wo mujh ko akela shab-e-hijran nahin rakhte

    dushman to bahut hazrat-e-naseh hain hamare

    han dost koi aap sa nadan nahin rakhte

    dil ho jo pareshan to dam bhar bhi na Thahre

    kuchh bandh ke to gesu-e-pechan nahin rakhte

    go aur bhi aashiq hain zamane mein bahut se

    'beKHud' ki tarah ishq ko pinhan nahin rakhte

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now