aashiqi apni jagah hai dil-lagi apni jagah
'āshiqī apnī jagah hai dil-lagī apnī jagah
hañs ke miltā huuñ maiñ us se dushmanī apnī jagah
dekhne ko dekhiyegā ye tamāshā shauq se
sāhirī apnī jagah hai shā'irī apnī jagah
ye samajhne meñ huī hai der bhī shāyad mujhe
tumtarāq apnī jagah hai sādgī apnī jagah
kyā haraj hai jugnuoñ se dostī gar ho ga.ī
raushnī apnī jagah hai chāñdnī apnī jagah
jugnuoñ se dostī par kyoñ ḳhafā haiñ aap log
raushnī apnī jagah hai chāñdnī apnī jagah
kis tarah jiinā hai 'ahmad' ye salīqa siikh lo
jī ke marnā hai kisī din zindagī apnī jagah
'ashiqi apni jagah hai dil-lagi apni jagah
hans ke milta hun main us se dushmani apni jagah
dekhne ko dekhiyega ye tamasha shauq se
sahiri apni jagah hai sha'iri apni jagah
ye samajhne mein hui hai der bhi shayad mujhe
tumtaraq apni jagah hai sadgi apni jagah
kya haraj hai jugnuon se dosti gar ho gai
raushni apni jagah hai chandni apni jagah
jugnuon se dosti par kyon KHafa hain aap log
raushni apni jagah hai chandni apni jagah
kis tarah jina hai 'ahmad' ye saliqa sikh lo
ji ke marna hai kisi din zindagi apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.