Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiqon ki bhiD mein bhi saf pahchane gae

Meena Bhatt

aashiqon ki bhiD mein bhi saf pahchane gae

Meena Bhatt

MORE BYMeena Bhatt

    āshiqoñ bhiiḌ meñ bhī saaf pahchāne ga.e

    sham' jab raushan huī marne ko parvāne ga.e

    shodh karne ke liye jab log pahuñche chāñd par

    ham bhī mangal tak tirangā yaar lahrāne ga.e

    'ishq meñ is hausle daad ham ko aap deñ

    jab unhoñ ne chāñd māñgā āsmāñ laane ga.e

    yuuñ shahīdoñ vaalā jazba bhī hamāre dil meñ thā

    vaqt jab aaya ḳhud apnā shīsh kaTvāne ga.e

    ḳhvāb ham ne yuuñ to dekhe āsmāñ se bhī baḌe

    par hamesha zamīñ ke naam se jaane ga.e

    dil se apne thā vo muflis ham samajh paa.e nahīñ

    ḳhud tamāsha bane jo haath phailāne ga.e

    'ishq meñ nākām honā faqat taqdīr thī

    ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne ga.e

    dard hai 'mīnā' milā aisā davā jis nahīñ

    DhūñDhne phir bhī davā ham roz maiḳhāne ga.e

    aashiqon ki bhiD mein bhi saf pahchane gae

    sham' jab raushan hui marne ko parwane gae

    shodh karne ke liye jab log pahunche chand par

    hum bhi mangal tak tiranga yar lahrane gae

    'ishq mein is hausle ki dad hum ko aap den

    jab unhon ne chand manga aasman lane gae

    yun shahidon wala jazba bhi hamare dil mein tha

    waqt jab aaya KHud apna shish kaTwane gae

    KHwab hum ne yun to dekhe aasman se bhi baDe

    par hamesha hi zamin ke nam se jaane gae

    dil se apne tha wo muflis hum samajh pae nahin

    KHud tamasha hi bane jo hath phailane gae

    'ishq mein nakaam hona hi faqat taqdir thi

    hum jahan pahunche hamare sath virane gae

    dard hai 'mina' mila aisa dawa jis ki nahin

    DhunDhne phir bhi dawa hum roz maiKHane gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now