Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiyan ujDa mera to kya hua

Saadat Nazeer

aashiyan ujDa mera to kya hua

Saadat Nazeer

MORE BYSaadat Nazeer

    āshiyāñ ujḌā mirā to kyā huā

    ġham to is hai chaman sahrā huā

    thā kuchh aisā taqāzā ishq

    ham ne dekhā apnā ghar luTtā huā

    thā kabhī dil ek shahr-e-ārzū

    rafta rafta yaas sahrā huā

    zarra zarra hai dil-e-betāb

    ik jahāñ hai dard maarā huā

    kyā ḳhabar thī hogā manzil charāġh

    ik musāfir rāsta bhaTkā huā

    zabt-e-dil hausla to dekhiye

    ġham dariyā hai abhī Thahrā huā

    aa.ine ko dekh kar sharmā ga.e

    aap ko shāyad mirā dhokā huā

    apnī rusvā.ī se maiñ ḳhush huuñ 'nazīr'

    ġham to ye hai un ġham rusvā huā

    aashiyan ujDa mera to kya hua

    gham to is ka hai chaman sahra hua

    tha kuchh aisa hi taqaza ishq ka

    hum ne dekha apna ghar luTta hua

    tha kabhi dil ek shahr-e-arzu

    rafta rafta yas ka sahra hua

    zarra zarra hai dil-e-betab sa

    ek jahan hai dard ka mara hua

    kya KHabar thi hoga manzil ka charagh

    ek musafir rasta bhaTka hua

    zabt-e-dil ka hausla to dekhiye

    gham ka dariya hai abhi Thahra hua

    aaine ko dekh kar sharma gae

    aap ko shayad mera dhoka hua

    apni ruswai se main KHush hun 'nazir'

    gham to ye hai un ka gham ruswa hua

    Source:

    (Pg. 150)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now