Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashna kahne se koi aashna hota nahin

Khaleel Raazi

aashna kahne se koi aashna hota nahin

Khaleel Raazi

MORE BYKhaleel Raazi

    āshnā kahne se koī āshnā hotā nahīñ

    pūjiye jitnā magar patthar ḳhudā hotā nahīñ

    fitna-andāzī se mat pheñko tabassum ko idhar

    barq se raushan kisī ghar diyā hotā nahīñ

    kāñch bantā hai chhaTā se apnī hiire javāb

    aadmī jur.at na ho to kaam hotā nahīñ

    vaza-dārī se na hogā aadmī ik jānvar

    jāma-e-athar se koī pārsā hotā nahīñ

    kuchh to hai matlab ki merā naam lab par aa gayā

    kaam duniyā ko koī be-mudda.ā hotā nahīñ

    ho na ho 'rāzī' judā ma.anā haiñ un baat ke

    badduā se un apnā kuchh burā hotā nahīñ

    aashna kahne se koi aashna hota nahin

    pujiye jitna magar patthar KHuda hota nahin

    fitna-andazi se mat phenko tabassum ko idhar

    barq se raushan kisi ghar ka diya hota nahin

    kanch banta hai chhaTa se apni hire ka jawab

    aadmi jurat na ho to kaam ka hota nahin

    waza-dari se na hoga aadmi ek jaanwar

    jama-e-athar se koi parsa hota nahin

    kuchh to hai matlab ki mera nam lab par aa gaya

    kaam duniya ko koi be-muddaa hota nahin

    ho na ho 'raazi' juda mana hain un ki baat ke

    baddua se un ki apna kuchh bura hota nahin

    Source:

    Darya Darya Aarzoo (Pg. 72)

    • Author: Khaleel Raazi
      • Publisher: Shahid Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now