aasi se KHush nahin hai wali se bhi KHush nahin
'aasī se ḳhush nahīñ hai valī se bhī ḳhush nahīñ
ye kaun shaḳhs hai jo kisī se bhī ḳhush nahīñ
ḳhush thā tire baġhair to jaltā thā jī tirā
āñkhoñ meñ hai namī to namī se bhī ḳhush nahīñ
kal merī kam-nigāhī pe mātam-zada thā tū
ab ye sitam ki dīda-varī se bhī ḳhush nahīñ
kyā mas.ala hai tujh ko batā kuchh to mere yaar
ġham se bhī ḳhush nahīñ tū ḳhushī se bhī ḳhush nahīñ
ham to samajh rahe the ujāle se bair hai
ye hukmrāñ to tīra-shabī se bhī ḳhush nahīñ
'hāmid' kā kyā hai haal mujhe kuchh ḳhabar bhī hai
tere baġhair ab vo parī se bhī ḳhush nahīñ
'asi se KHush nahin hai wali se bhi KHush nahin
ye kaun shaKHs hai jo kisi se bhi KHush nahin
KHush tha tere baghair to jalta tha ji tera
aankhon mein hai nami to nami se bhi KHush nahin
kal meri kam-nigahi pe matam-zada tha tu
ab ye sitam ki dida-wari se bhi KHush nahin
kya masala hai tujh ko bata kuchh to mere yar
gham se bhi KHush nahin tu KHushi se bhi KHush nahin
hum to samajh rahe the ujale se bair hai
ye hukmran to tira-shabi se bhi KHush nahin
'hamid' ka kya hai haal mujhe kuchh KHabar bhi hai
tere baghair ab wo pari se bhi KHush nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.