Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha

Shahnaz Rahmat

aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha

Shahnaz Rahmat

MORE BYShahnaz Rahmat

    āsmāñ āsmāñ thā mirā kab huā maiñ zamīñ be-sadā ye na mālūm thā

    is mohabbat ne toḌe haiñ ham par sitam bhī saudā.ī thā ye na mālūm thā

    TuuTe ik taar se soz aur saaz se kitnī mushkil se joḌā thā ham ne jise

    tinkā tinkā hai bikhrā vahī āshiyāñ aa.egī yuuñ balā ye na mālūm thā

    terī fitrat meñ zālim hai saudāgarī terī mahfil meñ ulfat bhī biktī rahī

    jhūTe va.adoñ se mere hasīñ ḳhvāb ne saudā kiyā ye na mālūm thā

    pyaar tujh ko kiyā maiñ ne sachchā.ī se phir bhī ai chārāgar kyoñ kiyā ye sitam

    mujh se muñh moḌ kar jā.egā chhoḌ kar nahīñ hai mirā ye na mālūm thā

    jab bhī ham haar kar TuuT kar ro paḌe apnī qismat pe aur apne hālāt par

    ik nayā azm le kar mirā hausla degā mujh ko sadā ye na mālūm thā

    terī duniyā meñ yārab ye kaisā chalan kyoñ khilaunā samajhte haiñ dil ko sabhī

    hogī majrūh merī javāñ-ārzū dard mil jā.egā ye na mālūm thā

    mar chukā thā jahāñ meñ mere liye phir bhī mere ḳhayāloñ meñ zinda rahā

    maiñ bhī murda duniyā meñ lūñgī yuuñ laash ban ke sadā ye na mālūm thā

    merā dil jaane kyoñ bevafā dilrubā umr bhar ḳhvāb tere buntā rahā

    kisī aur ke ḳhvāboñ ban chukā ek ta.abīr thā ye na mālūm thā

    merī sāñsoñ ne mujh se baġhāvat to mirī saañs thā mirī ruuh bhī

    ibādat mirī dhaḌkan mirī merā ḳhudā ye na mālūm thā

    dil dhaḌaktā hai merā tire naam par merī sāñseñ bhī chaltī haiñ ehsās par

    manzil mirī to mirī justujū mirā nāḳhudā ye na mālūm thā

    be-sahārā huuñ maiñ huuñ nasīboñ jalī kitnī majbūr duniyā meñ huuñ nā-tavāñ

    mirā to nahīñ phir bhī dil meñ to hai mirā aasrā ye na mālūm thā

    ashk bahte rahe phir bhī hañstī rahī lab pe 'shahnāz' uf tak na maiñ sakī

    merī sachchā.iyāñ mirī haiñ ḳhatā dil thā bāġhī mirā ye na mālūm thā

    choT lagtī rahī hañs ke sahtī rahī lab pe 'shahnāz' uf tak na maiñ sakī

    merī barbādiyoñ sabab ishq hai zindagī bevafā ye na mālūm thā

    aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha

    is mohabbat ne toDe hain hum par sitam tu bhi saudai tha ye na malum tha

    TuTe ek tar se soz aur saz se kitni mushkil se joDa tha hum ne jise

    tinka tinka hai bikhra wahi aashiyan aaegi yun bala ye na malum tha

    teri fitrat mein zalim hai saudagari teri mahfil mein ulfat bhi bikti rahi

    jhuTe wadon se mere hasin KHwab ka tu ne sauda kiya ye na malum tha

    pyar tujh ko kiya main ne sachchai se phir bhi ai chaaragar kyon kiya ye sitam

    mujh se munh moD kar jaega chhoD kar tu nahin hai mera ye na malum tha

    jab bhi hum haar kar TuT kar ro paDe apni qismat pe aur apne haalat par

    ek naya azm le kar mera hausla dega mujh ko sada ye na malum tha

    teri duniya mein yarab ye kaisa chalan kyon khilauna samajhte hain dil ko sabhi

    hogi majruh meri jawan-arzu dard mil jaega ye na malum tha

    mar chuka tha jahan mein tu mere liye phir bhi mere KHayalon mein zinda raha

    main bhi murda si duniya mein ji lungi yun lash ban ke sada ye na malum tha

    mera dil jaane kyon bewafa dilruba umr bhar KHwab tere hi bunta raha

    tu kisi aur ke KHwabon ka ban chuka ek tabir tha ye na malum tha

    meri sanson ne mujh se baghawat hi ki to meri sans tha tu meri ruh bhi

    tu ibaadat meri tu hi dhaDkan meri tu hi mera KHuda ye na malum tha

    dil dhaDakta hai mera tere nam par meri sansen bhi chalti hain ehsas par

    tu hi manzil meri to meri justuju tu mera naKHuda ye na malum tha

    be-sahaara hun main hun nasibon jali kitni majbur duniya mein hun na-tawan

    tu mera to nahin phir bhi dil mein to hai tu mera aasra ye na malum tha

    ashk bahte rahe phir bhi hansti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki

    meri sachchaiyan hi meri hain KHata dil tha baghi mera ye na malum tha

    choT lagti rahi hans ke sahti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki

    meri barbaadiyon ka sabab ishq hai zindagi bewafa ye na malum tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now