aasman oDhe hue su-e-zamin hota hai
āsmāñ oḌhe hue sū-e-zamīñ hotā hai
'iid kā chāñd sitāroñ meñ nahīñ hotā hai
baa'z auqāt tujhe dekh ke jī uThte haiñ
baa'z auqāt to aisā bhī nahīñ hotā hai
tum ko is ḳhāna-e-vahshat meñ ḳhudā le aayā
shauq se kaun mire dil kā makīñ hotā hai
hijr meñ aañkh ke aañsū bhī du'ā hote haiñ
shauq meñ rashk bhī sajde kī jabīñ hotā hai
jab se pahnā hai in āñkhoñ pe basīrat kā libās
vo bhī dikhtā hai jo mumkin hī nahīñ hotā hai
ham ne dekhī haiñ vo bikhrī huī sāhir zulfeñ
ham se pūchho ki ye ġham kitnā hasīñ hotā hai
aasman oDhe hue su-e-zamin hota hai
'id ka chand sitaron mein nahin hota hai
ba'z auqat tujhe dekh ke ji uThte hain
ba'z auqat to aisa bhi nahin hota hai
tum ko is KHana-e-wahshat mein KHuda le aaya
shauq se kaun mere dil ka makin hota hai
hijr mein aankh ke aansu bhi du'a hote hain
shauq mein rashk bhi sajde ki jabin hota hai
jab se pahna hai in aankhon pe basirat ka libas
wo bhi dikhta hai jo mumkin hi nahin hota hai
hum ne dekhi hain wo bikhri hui sahir zulfen
hum se puchho ki ye gham kitna hasin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.