aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi

Jami Rudaulvi

aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi

Jami Rudaulvi

MORE BY Jami Rudaulvi

  aatī hai zindagī meñ ḳhizāñ bhī bahār bhī

  sehn-e-chaman meñ phuul bhī hote haiñ ḳhaar bhī

  nārāzgī na ho to mohabbat hai be-maza

  hastī ḳhushī bhī ġham bhī hai nafrat bhī pyaar bhī

  be-e'tinā.iyoñ meñ bhī hai chāshnī lutf

  hotā hai iltifāt kabhī nāgavār bhī

  chhoḌā na ḳhauf-e-hijr ne dāman tamām raat

  āġhosh-e-pur-sukūñ meñ thā dil be-qarār bhī

  armāñ ḳhuuñ samāj talvār ne kiyā

  majbūr maslahat se huā iḳhtiyār bhī

  mehnat saḳht dhuup meñ pīpal chhāñv meñ

  hai dasht-e-ġham meñ abr-e-karam phuvār bhī

  har-chand be-dareġh bahā ḳhūn-e-ārzū

  lekin huā hai dāman-e-dil lāla-zār bhī

  ganjīna-e-sifāt hai us har ek baat

  sūrat bhī guftugū bhī adā bhī shi.ār bhī

  añgūr ke ye baaġh lab-e-jū ye chahchahe

  hogā yahīñ kahīñ pe hamārā mazār bhī

  'jāmī' pe kyā banegī ḳhudā jaane hashr meñ

  jannat aarzū hai gunāhoñ se pyaar bhī

  aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi

  sehn-e-chaman mein phul bhi hote hain KHar bhi

  naraazgi na ho to mohabbat hai be-maza

  hasti KHushi bhi gham bhi hai nafrat bhi pyar bhi

  be-e'tinaiyon mein bhi hai chashni ka lutf

  hota hai iltifat kabhi nagawar bhi

  chhoDa na KHauf-e-hijr ne daman tamam raat

  aaghosh-e-pur-sukun mein tha dil be-qarar bhi

  arman ka KHun samaj ki talwar ne kiya

  majbur maslahat se hua iKHtiyar bhi

  mehnat ki saKHt dhup mein pipal ki chhanw mein

  hai dasht-e-gham mein abr-e-karam ki phuwar bhi

  har-chand be-daregh baha KHun-e-arzu

  lekin hua hai daman-e-dil lala-zar bhi

  ganjina-e-sifat hai us ki har ek baat

  surat bhi guftugu bhi ada bhi shiar bhi

  angur ke ye bagh lab-e-ju ye chahchahe

  hoga yahin kahin pe hamara mazar bhi

  'jami' pe kya banegi KHuda jaane hashr mein

  jannat ki aarzu hai gunahon se pyar bhi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY