aati jati rah jati hain
aatī jaatī rah jaatī haiñ
sāñseñ aTkī rah jaatī haiñ
aadmī kahīñ chale jaate haiñ
bāteñ baaqī rah jaatī haiñ
kaam āġhāz nahīñ hotā hai
'umreñ aadhī rah jaatī haiñ
jī bhar ke ro lene se bhī
āñkheñ pyāsī rah jaatī haiñ
dekhī huī jag.heñ bhī jaise
kuchh an-dekhī rah jaatī haiñ
bhuul bhī jaao phir bhī yādeñ
achchhī-ḳhāsī rah jaatī haiñ
kuchh bhī nahīñ ḳharīda jaatā
jebeñ ḳhālī rah jaatī haiñ
bāteñ saarī kah jaatā huuñ
phir bhī kitnī rah jaatī haiñ
aati jati rah jati hain
sansen aTki rah jati hain
aadmi kahin chale jate hain
baaten baqi rah jati hain
kaam aaghaz nahin hota hai
'umren aadhi rah jati hain
ji bhar ke ro lene se bhi
aankhen pyasi rah jati hain
dekhi hui jaghen bhi jaise
kuchh an-dekhi rah jati hain
bhul bhi jao phir bhi yaaden
achchhi-KHasi rah jati hain
kuchh bhi nahin KHarida jata
jeben KHali rah jati hain
baaten sari kah jata hun
phir bhi kitni rah jati hain
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 214)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.