Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki

Riyaz Khairabadi

aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    aatī thī pahle dil se kabhī kabāb

    raushan hai ab to siine meñ bhaTTī sharāb

    itnā itaab surḳh hai rañgat naqāb

    tār-e-naqāb haiñ ki nigāheñ itaab

    dekhe koī jhalak na ruḳh-e-lā-javāb

    sattar hazār pardoñ meñ Thahrī hijāb

    kyuuñ hashr meñ ho fikr azāb-o-savāb

    sohbat hai ye bhī ek sharāb-o-kabāb

    kahte haiñ va.ada raat ko hogā vafā zarūr

    allāh jald shaam ho roz-e-hisāb

    bijlī vo chiiz nahīñ jis se hasīñ Dareñ

    kuchh dard chamak hai jhalak iztirāb

    vo shām-o-sub.h sadqe ho jin par bahār-e-gul

    chun chun ke saath laa.e haiñ rāteñ shabāb

    jannat ke ḳhvāb dekh ke aatī haiñ ham ko yaad

    rindāna sohbateñ vo kabāb-o-shabāb

    ā.īna dekhte haiñ mujhe dekh dekh kar

    ye daad mil rahī hai mire intiḳhāb

    le apne sar vabāl na auroñ hashr meñ

    bār-e-gunah uThā.e na mīzāñ hisāb

    ai taur soz-e-barq samajhte haiñ ham tujhe

    tujh meñ to shoḳhiyāñ haiñ kisī ke hijāb

    da.ave hai hamsarī sar-e-kaj-kulāh se

    ai dast-e-mauj utaar le Topī habāb

    bijlī girā.eñ tuur par āvāz se vo

    Thahre kabhī to ham se savāl-o-javāb

    phir bhī to kuchh sabāt ko us ke zarar nahīñ

    ulTī ravāñ hai bahr meñ kashtī habāb

    mai se kahīñ sivā hai pas-e-tauba mai-kasho

    aa jaa.e duur se kahīñ sharāb

    so hashr nazr-e-gosha-e-dāmāñ haiñ har-nafas

    ai shauq-e-dīd had nahīñ iztirāb

    talḳhī naza.a to kuchh ehsās ho sake

    itnī to mere muñh meñ ho talḳhī sharāb

    tum kyā ho ham ne qulqul-e-mīnā se vā.izo

    bāteñ bahut sunī haiñ azāb-o-savāb

    daur-e-mai-e-kuhan asar hai ye ai 'riyāz'

    hai aaj bhī javān tabī.at janāb

    aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki

    raushan hai ab to sine mein bhaTTi sharab ki

    itna itab surKH hai rangat naqab ki

    tar-e-naqab hain ki nigahen itab ki

    dekhe koi jhalak na ruKH-e-la-jawab ki

    sattar hazar pardon mein Thahri hijab ki

    kyun hashr mein ho fikr azab-o-sawab ki

    sohbat hai ye bhi ek sharab-o-kabab ki

    kahte hain wada raat ko hoga wafa zarur

    allah jald sham ho roz-e-hisab ki

    bijli wo chiz hi nahin jis se hasin Daren

    kuchh dard ki chamak hai jhalak iztirab ki

    wo sham-o-subh sadqe ho jin par bahaar-e-gul

    chun chun ke sath lae hain raaten shabab ki

    jannat ke KHwab dekh ke aati hain hum ko yaad

    rindana sohbaten wo kabab-o-shabab ki

    aaina dekhte hain mujhe dekh dekh kar

    ye dad mil rahi hai mere intiKHab ki

    le apne sar wabaal na auron ka hashr mein

    bar-e-gunah uThae na mizan hisab ki

    ai taur soz-e-barq samajhte hain hum tujhe

    tujh mein to shoKHiyan hain kisi ke hijab ki

    dawe hai hamsari ka sar-e-kaj-kulah se

    ai dast-e-mauj utar le Topi habab ki

    bijli giraen tur par aawaz hi se wo

    Thahre kabhi to hum se sawal-o-jawab ki

    phir bhi to kuchh sabaat ko us ke zarar nahin

    ulTi rawan hai bahr mein kashti habab ki

    mai se kahin siwa hai pas-e-tauba mai-kasho

    aa jae dur hi se kahin bu sharab ki

    so hashr nazr-e-gosha-e-daman hain har-nafas

    ai shauq-e-did had hi nahin iztirab ki

    talKHi ka naza ki to kuchh ehsas ho sake

    itni to mere munh mein ho talKHi sharab ki

    tum kya ho hum ne qulqul-e-mina se waizo

    baaten bahut suni hain azab-o-sawab ki

    daur-e-mai-e-kuhan ka asar hai ye ai 'riyaz'

    hai aaj bhi jawan tabiat janab ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now