aatish-e-gul hun nigahon mein sharar rakhti hun
aatish-e-gul hun nigahon mein sharar rakhti hun
Rinki Singh Sahiba
MORE BYRinki Singh Sahiba
ātish-e-gul huuñ nigāhoñ meñ sharar rakhtī huuñ
apne andāz maiñ duniyā se digar rakhtī huuñ
ḳhaak jis din se uḌaa.ī hai havāoñ ne mirī
mausamoñ ke bhī taqāzoñ pe nazar rakhtī huuñ
ġhair-mumkin hai ki vo mujh ko bhulā deñge kabhī
jism kī baat nahīñ dil pe asar rakhtī huuñ
mujh tak aane hī nahīñ detā hai shāmat koī
sahn meñ apne jo ik būḌhā shajar rakhtī huuñ
dasht lipTā hai mire paañv se gulshan ke liye
ābloñ meñ bhī bahāroñ kā hunar rakhtī huuñ
shams aatā hai jagāne ko mujhe khiḌkī se
apnī palkoñ pe maiñ imkān-e-sahar rakhtī huuñ
nuur chhalkegā nā kyoñ 'sāhiba' ġhazloñ se mirī
maiñ kahīñ ashk kahīñ ḳhūn-e-jigar rakhtī huuñ
aatish-e-gul hun nigahon mein sharar rakhti hun
apne andaz main duniya se digar rakhti hun
KHak jis din se uDai hai hawaon ne meri
mausamon ke bhi taqazon pe nazar rakhti hun
ghair-mumkin hai ki wo mujh ko bhula denge kabhi
jism ki baat nahin dil pe asar rakhti hun
mujh tak aane hi nahin deta hai shamat koi
sahn mein apne jo ek buDha shajar rakhti hun
dasht lipTa hai mere panw se gulshan ke liye
aablon mein bhi bahaaron ka hunar rakhti hun
shams aata hai jagane ko mujhe khiDki se
apni palkon pe main imkan-e-sahar rakhti hun
nur chhalkega na kyon 'sahiba' ghazlon se meri
main kahin ashk kahin KHun-e-jigar rakhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.