Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aatish-e-tab ne ki hai tab shuru

Qayem Chaandpuri

aatish-e-tab ne ki hai tab shuru

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    ātish-e-tab ne hai taab shurū'

    bhī kar dīda-e-pur-āb shurū'

    kyuuñ na abtar ho āñsuoñ se chashm

    hai laḌkoñ ne ye kitāb shurū'

    shab maiñ chāhā karūñ kuchh us se savāl

    bin sune kiyā javāb shurū'

    sarfa-e-ḳhushk bhī hai ik hiila

    karnī zāhid ko thī sharāb shurū'

    naam sunte us bas 'qā.em'

    phir kyā ne iztirāb shurū'

    aatish-e-tab ne ki hai tab shuru'

    tu bhi kar dida-e-pur-ab shuru'

    kyun na abtar ho aansuon se chashm

    ki hai laDkon ne ye kitab shuru'

    shab main chaha karun kuchh us se sawal

    bin sune hi kiya jawab shuru'

    sarfa-e-KHushk bhi hai ek hila

    karni zahid ko thi sharab shuru'

    nam sunte hi us ka bas 'qaem'

    phir kya tu ne iztirab shuru'

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 73)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now