Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aawargi-e-rang hai KHwabon ki tarah hai

Ishrat Rumani

aawargi-e-rang hai KHwabon ki tarah hai

Ishrat Rumani

MORE BYIshrat Rumani

    āvārgī-e-rañg hai ḳhvāboñ tarah hai

    vo shaḳhs shafaq-zār gulāboñ tarah hai

    har moḌ pe milte haiñ bichhaḌ jaate haiñ pyāre

    hastī har ik mauj habāboñ tarah hai

    sahrā meñ har ik lamha chamaktā hai musalsal

    ehsās-e-safar jaise sarāboñ tarah hai

    is daur meñ chehroñ pe likhe rahte haiñ hālāt

    har shaḳhs yahāñ jaise kitāboñ tarah hai

    tajdīd-e-mohabbat tarāshīda kahānī

    har daur meñ rūhoñ ke nisāboñ tarah hai

    aawargi-e-rang hai KHwabon ki tarah hai

    wo shaKHs shafaq-zar gulabon ki tarah hai

    har moD pe milte hain bichhaD jate hain pyare

    hasti ki har ek mauj hababon ki tarah hai

    sahra mein har ek lamha chamakta hai musalsal

    ehsas-e-safar jaise sarabon ki tarah hai

    is daur mein chehron pe likhe rahte hain haalat

    har shaKHs yahan jaise kitabon ki tarah hai

    tajdid-e-mohabbat ki tarashida kahani

    har daur mein ruhon ke nisabon ki tarah hai

    Source:

    Subh Aane Ko Hai (Pg. 38)

    • Author: Ishrat Rumani
      • Publisher: Bazm-e-Takhleeq-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now