Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aawaz ka uski zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

Barqi Azmi

aawaz ka uski zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    āvāz us zer-o-bam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    kitnā dilkash thā merā sanam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    kis darja hasīñ thā vo lamha jo qissa-e-pārīna hai ab

    jab us nazar meñ the bas ham kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    go aise lamhe kam aa.e lekin haiñ vo merā sarmāya

    kab kab vo huā mā.il-ba-karam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    vo rūThne aur manāne ehsās abhī tak baaqī hai

    kyā kyā the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    vo ḳhvāb dikhātā thā mujh ko maiñ is pe bharosa kartā thā

    qaa.im na rahā va.adoñ bharam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    aa.e ho abhī jaate ho kahāñ is ye kahnā abhī aayā

    kar denā mirī phir naak meñ dam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    ye bhūlī-bisrī yādeñ haiñ sarmāya-e-zīst mirā 'barqī'

    kis tarah karūñ meñ is ko raqam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e

    aawaz ka us ki zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    kitna dilkash tha mera sanam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    kis darja hasin tha wo lamha jo qissa-e-parina hai ab

    jab us ki nazar mein the bas hum kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    go aise lamhe kam aae lekin hain wo mera sarmaya

    kab kab wo hua mail-ba-karam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    wo ruThne aur manane ka ehsas abhi tak baqi hai

    kya kya the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    wo KHwab dikhata tha mujh ko main is pe bharosa karta tha

    qaim na raha wadon ka bharam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    aae ho abhi jate ho kahan is ka ye kahna abhi aaya

    kar dena meri phir nak mein dam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    ye bhuli-bisri yaaden hain sarmaya-e-zist mera 'barqi'

    kis tarah karun mein is ko raqam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Barqi Azmi

    Barqi Azmi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now