Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya hun dur se main to kar ke safar yahan

Ahmad Masood Quraishi

aaya hun dur se main to kar ke safar yahan

Ahmad Masood Quraishi

MORE BYAhmad Masood Quraishi

    aaya huuñ duur se maiñ to kar ke safar yahāñ

    rahtā hai asl meñ mire dil nagar yahāñ

    shirkat hai merī aaj bhī un bazm meñ

    aaya hai shā.erī mujhe ab hunar yahāñ

    kar hai zindagī to tire naam jān-e-jāñ

    duniyā ye sang tere hogī basar yahāñ

    kaisā huuñ maiñ idhar mirī sehat bhī hai nahīñ

    masrūf haiñ sabhī kisī ko ḳhabar yahāñ

    māyūs mat ho jag se ḳhushī bhī hai ġham bhī hai

    āñgan meñ ek din tire hogī sahar yahāñ

    aaya hun dur se main to kar ke safar yahan

    rahta hai asl mein mere dil ka nagar yahan

    shirkat hai meri aaj bhi un ki hi bazm mein

    aaya hai shaeri ka mujhe ab hunar yahan

    kar di hai zindagi to tere nam jaan-e-jaan

    duniya ye sang tere hi hogi basar yahan

    kaisa hun main idhar meri sehat bhi hai nahin

    masruf hain sabhi hi kisi ko KHabar yahan

    mayus mat ho jag se KHushi bhi hai gham bhi hai

    aangan mein ek din tere hogi sahar yahan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now