Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai

Ajmal Ajmali

aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai

Ajmal Ajmali

MORE BYAjmal Ajmali

    āzār bahut lazzat-e-āzār bahut hai

    dil dast-e-sitam-gar talabgār bahut hai

    iqrār manzil bhī zarūr aa.egī ik din

    is vaqt to bas lazzat-e-inkār bahut hai

    yārān-e-safar koī davā DhūñD ke laao

    insān mire daur bīmār bahut hai

    haañ dekhiyo irfān-e-baġhāvat na jhulas jaa.e

    manzar mirī duniyā sharar-bār bahut hai

    ham ghar panāhoñ se jo nikle to ye jaanā

    hañgāma pas-e-sāya-e-dīvār bahut hai

    qātil ināyat maza aur hai varna

    jaañ lene ko ye saañs talvār bahut hai

    kyā log haiñ ye soch ke baiThe huuñ gharoñ meñ

    bas zulm se be-zārī iz.hār bahut hai

    hālāt-e-zamāna se laraz jaate haiñ 'ajmal'

    yuuñ hai ki zamāne se hameñ pyaar bahut hai

    aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai

    dil dast-e-sitam-gar ka talabgar bahut hai

    iqrar ki manzil bhi zarur aaegi ek din

    is waqt to bas lazzat-e-inkar bahut hai

    yaran-e-safar koi dawa DhunD ke lao

    insan mere daur ka bimar bahut hai

    han dekhiyo irfan-e-baghawat na jhulas jae

    manzar meri duniya ka sharar-bar bahut hai

    hum ghar ki panahon se jo nikle to ye jaana

    hangama pas-e-saya-e-diwar bahut hai

    qatil ki inayat ka maza aur hai warna

    jaan lene ko ye sans ki talwar bahut hai

    kya log hain ye soch ke baiThe hun gharon mein

    bas zulm se be-zari ka izhaar bahut hai

    haalat-e-zamana se laraz jate hain 'ajmal'

    yun hai ki zamane se hamein pyar bahut hai

    Source:

    Urdu International (Pg. 146)

    • Author: Ashfaq Hussain
      • Edition: (Janury -April 1986)
      • Publisher: 1296, Bloor Street West Toronto, Ontario, Canada
      • Year of Publication: (Janury -April 1986)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now