Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazar hi ab koi makanon pe girega

israr Kafeel

aazar hi ab koi makanon pe girega

israr Kafeel

MORE BYisrar Kafeel

    āzār ab koī makānoñ pe giregā

    lagtā hai ki ye baar bhī shānoñ pe giregā

    is baar koī tiir kamānoñ meñ nahīñ hai

    is baar magar jism nishānoñ pe giregā

    ik chīḳh se gūñjeñgī ka.ī aur bhī sadiyāñ

    āvāz patthar hai zamānoñ pe giregā

    sab dekhte rah jā.eñge ye tīr-ba-kaf log

    jab ke parinda ye chaTānoñ pe giregā

    ik shaḳhs jo ḳhvāboñ meñ bhī saa.e tarah hai

    kab harf-e-yaqīñ ban ke gumānoñ pe giregā

    ham ḳhema-e-ashjār se guzreñge bahar-kaif

    ġham sūrat-e-barfāb machānoñ pe giregā

    jab tak ki takallum meñ nahīñ tāqat-e-guftār

    kyā harf-e-talab koī zabānoñ pe giregā

    ḳhvāh auj-e-falak tak chalā jaa.e ye sūraj

    thak kar isī dhartī ke dahānoñ pe giregā

    tum phuul barasne 'kafīl' aas to rakhnā

    kyā sang sadā ā.īna-ḳhānoñ pe giregā

    aazar hi ab koi makanon pe girega

    lagta hai ki ye bar bhi shanon pe girega

    is bar koi tir kamanon mein nahin hai

    is bar magar jism nishanon pe girega

    ek chiKH se gunjengi kai aur bhi sadiyan

    aawaz ka patthar hai zamanon pe girega

    sab dekhte rah jaenge ye tir-ba-kaf log

    jab ja ke parinda ye chaTanon pe girega

    ek shaKHs jo KHwabon mein bhi sae ki tarah hai

    kab harf-e-yaqin ban ke gumanon pe girega

    hum KHema-e-ashjar se guzrenge bahar-kaif

    gham surat-e-barfab machanon pe girega

    jab tak ki takallum mein nahin taqat-e-guftar

    kya harf-e-talab koi zabanon pe girega

    KHwah auj-e-falak tak hi chala jae ye suraj

    thak kar isi dharti ke dahanon pe girega

    tum phul barasne ki 'kafil' aas to rakhna

    kya sang sada aaina-KHanon pe girega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now