aazar ke is KHauf mein aazar se pahle
āzār ke is ḳhauf meñ āzār se pahle
mar jaa.e masīhā na ye bīmār se pahle
āvāz lagā.ī kabhī talvār girā.ī
āgāh kiyā ham ne use vaar se pahle
us saltanat-e-husn kī shahzādī ko batlāo
darvesh Thahar jaate haiñ darbār se pahle
har chiiz kā vo daam batā.eñge baḌhā kar
kuchh log mileñge tumheñ bāzār se pahle
do jalte diye din ke ujāle meñ rakhe the
yā'nī mirī āñkheñ tire dīdār se pahle
aazar ke is KHauf mein aazar se pahle
mar jae masiha na ye bimar se pahle
aawaz lagai kabhi talwar girai
aagah kiya hum ne use war se pahle
us saltanat-e-husn ki shahzadi ko batlao
darwesh Thahar jate hain darbar se pahle
har chiz ka wo dam bataenge baDha kar
kuchh log milenge tumhein bazar se pahle
do jalte diye din ke ujale mein rakhe the
ya'ni meri aankhen tere didar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.