Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazurdagi ka uski zara mujhko pas tha

Aftab Shamsi

aazurdagi ka uski zara mujhko pas tha

Aftab Shamsi

MORE BYAftab Shamsi

    āzurdagī us zarā mujh ko paas thā

    maiñ varna aaj us se zyāda udaas thā

    sūraj nahīñ thā duur savā neze se magar

    merī anā saaya mire aas paas thā

    ab aa ke so gayā hai samundar god meñ

    dariyā meñ varna shor us asaas thā

    rūheñ uThīñ gale milīñ vāpas chalī ga.iiñ

    is raaz ke chhupāne ko tan par libās thā

    paḌh kar jise ubharne lageñ an-ginat savāl

    aise ik fasāne vo iqtibās thā

    ab aa ke barf pighlī hai kuchh e'tiqād

    jis ko yaqīñ samajhte rahe ham qayās thā

    aazurdagi ka us ki zara mujh ko pas tha

    main warna aaj us se zyaada udas tha

    suraj nahin tha dur sawa neze se magar

    meri ana ka saya mere aas pas tha

    ab aa ke so gaya hai samundar ki god mein

    dariya mein warna shor hi us ki asas tha

    ruhen uThin gale milin wapas chali gain

    is raaz ke chhupane ko tan par libas tha

    paDh kar jise ubharne lagen an-ginat sawal

    aise hi ek fasane ka wo iqtibas tha

    ab aa ke barf pighli hai kuchh e'tiqad ki

    jis ko yaqin samajhte rahe hum qayas tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 329)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now