ab aansu sanbhalte nahin hain sanbhaale
ab aañsū sañbhalte nahīñ haiñ sañbhāle
tumhārī amānat tumhāre havāle
qayāmat hī meñ phir mulāqāt hogī
abhī vaqt hai lauT aa jaane vaale
abhī ḳhud mujhe shak hai apnī vafā par
abhī aur kuchh din mujhe aazmā le
bichhaḌnā jo ab ke to jān-e-tamannā
na karnā mujhe zindagī ke havāle
'ḳhumār' ab taḳhallus bhī apnā badal do
bane ho jo mai-kash se allāh vaale
ab aansu sanbhalte nahin hain sanbhaale
tumhaari amanat tumhaare hawale
qayamat hi mein phir mulaqat hogi
abhi waqt hai lauT aa jaane wale
abhi KHud mujhe shak hai apni wafa par
abhi aur kuchh din mujhe aazma le
bichhaDna jo ab ke to jaan-e-tamanna
na karna mujhe zindagi ke hawale
'KHumar' ab taKHallus bhi apna badal do
bane ho jo mai-kash se allah wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.