Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab afsos karne se kya hoga hasil

Ehsan Sehgal

ab afsos karne se kya hoga hasil

Ehsan Sehgal

MORE BYEhsan Sehgal

    ab afsos karne se kyā hogā hāsil

    hamārī tabāhī meñ tum bhī the shāmil

    qayāmat jo guzrī hai ham par jahāñ meñ

    nahīñ is meñ apnī ḳhatā koī shāmil

    bas āñkhoñ meñ aa.e hue ashk kar

    dil-e-ġham-zadā par rakh sabr-e-kāmil

    hai qabza sabhī sāhiloñ par adū

    kahīñ bhī nahīñ merī kashtī sāhil

    duā huī jab na puurī hamārī

    dil apnā hai ab to gunāhoñ pe maa.il

    duā māñgtā hai hamesha ye 'sahgal'

    banānā mujhe apne dar saa.il

    ab afsos karne se kya hoga hasil

    hamari tabahi mein tum bhi the shamil

    qayamat jo guzri hai hum par jahan mein

    nahin is mein apni KHata koi shamil

    bas aankhon mein aae hue ashk pi kar

    dil-e-gham-zada par tu rakh sabr-e-kaamil

    hai qabza sabhi sahilon par adu ka

    kahin bhi nahin meri kashti ka sahil

    dua hi hui jab na puri hamari

    dil apna hai ab to gunahon pe mail

    dua mangta hai hamesha ye 'sahgal'

    banana mujhe apne hi dar ka sail

    Source:

    Afkar Ki Khushboo (Pg. 50)

    • Author: Ehsan Sehgal
      • Publisher: Bazm-e-Ilm-o-Fan International, Holland
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now