Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

Jami Rudaulvi

ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

Jami Rudaulvi

MORE BYJami Rudaulvi

    ab apne des āb-o-havā ham ko nahīñ bhātī

    ġhulāmī ek zillat thī sarāpā dard āzādī

    qayādat karne vāloñ ko masīhā.ī da.avā thā

    kisī ne lekin ab tak qaum biiḌī nahīñ kaaTī

    abhī tak paañv se chimTī haiñ zanjīreñ ġhulāmī

    din aa jaatā hai āzādī āzādī nahīñ aatī

    unhīñ aqvām ke rahm-o-karam par ab bhī jiite haiñ

    ġhurūr-e-hurriyat ne jin se hāsil thī āzādī

    bajā-e-fikr-e-nau raj.at-pasandī aam sheva hai

    haqīqat meñ musalmāñ har jagah hai kushta-e-māzī

    karachi meñ muhājir aur inglistān meñ kaale

    tirī taqdīr meñ 'jāmī' likhī hai ḳhāna-barbādī

    ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

    ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi

    qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha

    kisi ne lekin ab tak qaum ki biDi nahin kaTi

    abhi tak panw se chimTi hain zanjiren ghulami ki

    din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati

    unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain

    ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi

    baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai

    haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi

    karachi mein muhajir aur inglistan mein kale

    teri taqdir mein 'jami' likhi hai KHana-barbaadi

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 183)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now