Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

Azra Parveen

ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

Azra Parveen

MORE BYAzra Parveen

    ab apnī chīḳh bhī kyā apnī be zabānī kyā

    mahz asīroñ mahsūr zindagānī kyā

    ruteñ jo ne utārī haiñ ḳhuub hoñgī magar

    babūl-sej pe sajtī hai gul-fishānī kyā

    hai jism ek tazādāt ke ka.ī ḳhāne

    karegā par inheñ ik rañg-e-āsmānī kyā

    hazār karvaTeñ jhankār sunātī haiñ

    yuuñ jhaTpaTāne se zanjīr hogī paanī kyā

    zamīñ ke aur taqāze falak kuchh aur kahe

    qalam bhī chup hai ki ab moḌ le kahānī kyā

    anā to qaid tash.hīr se gurezāñ thī

    pukār uTThī magar merī be-zabānī kyā

    maiñ ḳhushk naḳhl jañgal tavīl tez havā

    bikher degī mujhe bhī ye be-makānī kyā

    ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

    mahz asiron ki mahsur zindagani kya

    ruten jo tu ne utari hain KHub hongi magar

    babul-sej pe sajti hai gul-fishani kya

    hai jism ek tazadat ke kai KHane

    karega par inhen ek rang-e-asmani kya

    hazar karwaTen jhankar hi sunati hain

    yun jhaTpaTane se zanjir hogi pani kya

    zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe

    qalam bhi chup hai ki ab moD le kahani kya

    ana to qaid ki tashhir se gurezan thi

    pukar uTThi magar meri be-zabani kya

    main KHushk naKHl si jangal tawil tez hawa

    bikher degi mujhe bhi ye be-makani kya

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Ab apni cheekh bhi kya apni be-zubani kya Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now