aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab aur dam na ghuTe raushni ka kamre mein

Ashu mishra

ab aur dam na ghuTe raushni ka kamre mein

Ashu mishra

MORE BYAshu mishra

    ab aur dam na ghuTe raushnī kamre meñ

    darīche hoñ ujāloñ dauḌ puurī ho

    jo ḳhvāb aa.eñ to dekhūñ tujhe maiñ jī-bhar ke

    ki niiñd aa.e to ḳhvāboñ dauḌ puurī ho

    koī baḌhā.e zarā āsmān vus.at

    maiñ chāhtā huuñ parindoñ dauḌ puurī ho

    kisī azaab se ruk jaa.e raqs qātil

    gharoñ ko lauTte bachchoñ dauḌ puurī ho

    maiñ tere hijr ke aalam meñ nahīñ saktā

    so ab yahī ho ki sāñsoñ dauḌ puurī ho

    ab aur dam na ghuTe raushni ka kamre mein

    dariche wa hon ujalon ki dauD puri ho

    jo KHwab aaen to dekhun tujhe main ji-bhar ke

    ki nind aae to KHwabon ki dauD puri ho

    koi baDhae zara aasman ki wusat

    main chahta hun parindon ki dauD puri ho

    kisi azab se ruk jae raqs qatil ka

    gharon ko lauTte bachchon ki dauD puri ho

    main tere hijr ke aalam mein ji nahin sakta

    so ab yahi ho ki sanson ki dauD puri ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now