Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab chhat pe koi chand Tahalta hi nahin hai

Alam Khursheed

ab chhat pe koi chand Tahalta hi nahin hai

Alam Khursheed

MORE BYAlam Khursheed

    ab chhat pe koī chāñd Tahaltā nahīñ hai

    dil merā magar pahlū badaltā nahīñ hai

    kab se maiñ yahāñ but banā baiThā huuñ sar-e-rāh

    but hai ki shivāle se nikaltā nahīñ hai

    sone jagah roz badaltā huuñ maiñ lekin

    vo ḳhvāb kisī tarah badaltā nahīñ hai

    maiñ khīñchtā rahtā huuñ use dil se shab-o-roz

    vo tiir mire dil se nikaltā nahīñ hai

    ab chhat pe koi chand Tahalta hi nahin hai

    dil mera magar pahlu badalta hi nahin hai

    kab se main yahan but bana baiTha hun sar-e-rah

    but hai ki shiwale se nikalta hi nahin hai

    sone ki jagah roz badalta hun main lekin

    wo KHwab kisi tarah badalta hi nahin hai

    main khinchta rahta hun use dil se shab-o-roz

    wo tir mere dil se nikalta hi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now