ab chhoD tasawwur mein marna maidan mein nikal aa jine ko
ab chhoḌ tasavvur meñ marnā maidāñ meñ nikal aa jiine ko
tūfān ke siine par khenā hai tujh ko apne safīne ko
girtoñ kā sañbhalnā ḳhuub sahī lekin ye sañbhalne ko girnā
hairat hai ki chāhā kyoñ tū ne jiine ke aise qarīne ko
kyoñ larza-bar-andām hai yuuñ phailī huī dekh ke tārīkī
ban sub.h kī pahlī rupahlī kiran aur chiir de raat ke siine ko
pāmāl chaman meñ tere agar aa.e to bahār-e-nau aa.e
shabnam kī bajā.e ġhunchoñ ko tāroñ kā lahū de piine ko
har-chand pasand haiñ tujh ko 'nazar' ye ḳhaak ye chaak garebāñ ke
yuuñ manzar-e-‘ām pe laane se kyā barbādī-e-dil ke ḳhazīne ko
ab chhoD tasawwur mein marna maidan mein nikal aa jine ko
tufan ke sine par khena hai tujh ko apne safine ko
girton ka sanbhalna KHub sahi lekin ye sanbhalne ko girna
hairat hai ki chaha kyon tu ne jine ke aise qarine ko
kyon larza-bar-andam hai yun phaili hui dekh ke tariki
ban subh ki pahli rupahli kiran aur chir de raat ke sine ko
pamal chaman mein tere agar aae to bahaar-e-nau aae
shabnam ki bajae ghunchon ko taron ka lahu de pine ko
har-chand pasand hain tujh ko 'nazar' ye KHak ye chaak gareban ke
yun manzar-e-‘am pe lane se kya barbaadi-e-dil ke KHazine ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.