ab dil ko tum se koi bhi shikwa nahin raha
ab dil ko tum se koī bhī shikva nahīñ rahā
ya.anī hamāre beach kā rishta nahīñ rahā
bachpan guzārte haiñ mashaqqat ke saath vo
jin ke saroñ pe baap kā saayā nahīñ rahā
jab tak na un keī diid ho kaise ġhazal kahūñ
mere ḳhayāl meñ koī misrā nahīñ rahā
sayyād tere zulm keī ab intihā huī
ḳhālī qafas bachā hai parinda nahīñ rahā
āvāz de rahā hai mujhe bār-bār kyoñ
us ko ḳhabar karo ki maiñ zinda nahīñ rahā
ḳhalvat meñ mere saath hī rahtā hai tū sanam
tere baġhair maiñ kahīñ tanhā nahīñ rahā
ulfat meñ apne yaar keī 'ġhāfil' huuñ is qadar
merā ab is jahān se rishta nahīñ rahā
ab dil ko tum se koi bhi shikwa nahin raha
yani hamare beach ka rishta nahin raha
bachpan guzarte hain mashaqqat ke sath wo
jin ke saron pe bap ka saya nahin raha
jab tak na un kei did ho kaise ghazal kahun
mere KHayal mein koi misra nahin raha
sayyaad tere zulm kei ab intiha hui
KHali qafas bacha hai parinda nahin raha
aawaz de raha hai mujhe bar-bar kyon
us ko KHabar karo ki main zinda nahin raha
KHalwat mein mere sath hi rahta hai tu sanam
tere baghair main kahin tanha nahin raha
ulfat mein apne yar kei 'ghafil' hun is qadar
mera ab is jahan se rishta nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.