Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    ab dimāġh-o-dil meñ vo quvvat nahīñ vo dil nahīñ

    'shād' ab ash.ār mere dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ

    mire ashk-e-nadāmat haqīqat kuchh na pūchh

    us har qatra vo dariyā hai jahāñ sāhil nahīñ

    ghar ḳhudā thā magar but is meñ aa kar bas ga.e

    ab muraqqa.a hai hasīnoñ hamārā dil nahīñ

    nukta-chīñ ho merī rindāna ravish par kyuuñ koī

    maiñ koī zāhid nahīñ vaa.iz nahīñ aaqil nahīñ

    parda-dārī kartī hai dar-parda lailā ishq

    jazba-e-dil qais hai parda-e-mahmil nahīñ

    inqalāb-e-dahr se ulTā zamāne varaq

    ahl-e-mahfil vo nahīñ vo raunaq-e-mahfil nahīñ

    hind meñ chalne lagī hai ab havā-e-inqalāb

    'shād' sach hai ye jagah rahne ke ab qābil nahīñ

    sāġhar-e-mai pesh kar ke shaiḳh kahlātā huuñ maiñ

    hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qābil nahīñ

    haq meñ ab āshiq ke dekheñ faisla hotā hai kyā

    ishq da.avā huzūr-e-husn to bātil nahīñ

    ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin

    'shad' ab ashaar mere dar-KHur-e-mahfil nahin

    tu mere ashk-e-nadamat ki haqiqat kuchh na puchh

    us ka har qatra wo dariya hai jahan sahil nahin

    ghar KHuda ka tha magar but is mein aa kar bas gae

    ab muraqqa hai hasinon ka hamara dil nahin

    nukta-chin ho meri rindana rawish par kyun koi

    main koi zahid nahin waiz nahin aaqil nahin

    parda-dari karti hai dar-parda laila ishq ki

    jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mahmil nahin

    inqalab-e-dahr se ulTa zamane ka waraq

    ahl-e-mahfil wo nahin wo raunaq-e-mahfil nahin

    hind mein chalne lagi hai ab hawa-e-inqalab

    'shad' sach hai ye jagah rahne ke ab qabil nahin

    saghar-e-mai pesh kar ke shaiKH kahlata hun main

    hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qabil nahin

    haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya

    ishq ka dawa huzur-e-husn to baatil nahin

    Source:

    Sukhanwaran-e-Deccan (Pg. 78)

    • Author: Syed Taskeen Abdi
      • Edition: 1938
      • Publisher: Matba Ahd-e-Afrin, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now