Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dua ka zor chalta hi nahin

Shariq Balyavi

ab dua ka zor chalta hi nahin

Shariq Balyavi

MORE BYShariq Balyavi

    ab duā zor chaltā nahīñ

    hijr aaseb Taltā nahīñ

    laakh bahlā.eñ bahaltā nahīñ

    dil kisī karvaT sañbhaltā nahīñ

    sar pe sūraj hai khaḌā muddat huī

    din ye kaisā hai ki Dhaltā nahīñ

    āzmā.ī to hai us ne har adā

    husn ab sehr chaltā nahīñ

    zindagī laa.ī hai ab kis moḌ par

    ab qadam koī sañbhaltā nahīñ

    har ghaḌī ehsās tūfān hai

    dil ye aalam badaltā nahīñ

    ḳhuun jab tak ro na le chashm-e-ufuq

    sub.h-dam sūraj nikaltā nahīñ

    vaqt ke mātahat sab kaam haiñ

    vo jo kah de phir vo Taltā nahīñ

    shahr-e-dil tārīk hai 'shāriq' bahut

    diip armānoñ jaltā nahīñ

    ab dua ka zor chalta hi nahin

    hijr ka aaseb Talta hi nahin

    lakh bahlaen bahalta hi nahin

    dil kisi karwaT sanbhalta hi nahin

    sar pe suraj hai khaDa muddat hui

    din ye kaisa hai ki Dhalta hi nahin

    aazmai to hai us ne har ada

    husn ka ab sehr chalta hi nahin

    zindagi lai hai ab kis moD par

    ab qadam koi sanbhalta hi nahin

    har ghaDi ehsas ka tufan hai

    dil ka ye aalam badalta hi nahin

    KHun jab tak ro na le chashm-e-ufuq

    subh-dam suraj nikalta hi nahin

    waqt hi ke matahat sab kaam hain

    wo jo kah de phir wo Talta hi nahin

    shahr-e-dil tarik hai 'shaariq' bahut

    dip armanon ka jalta hi nahin

    Source:

    Be-Gumaan (Pg. 112)

    • Author: Shariq Balyavi
      • Publisher: Isra Publication, Karachi
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now