Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab eatibar nahin meri jaan kisi ka nahin

Moid Rasheedi

ab eatibar nahin meri jaan kisi ka nahin

Moid Rasheedi

MORE BYMoid Rasheedi

    ab e.atibār nahīñ merī jaañ kisī nahīñ

    charāġh sab ke liye hai dhuāñ kisī nahīñ

    lakīreñ khīñch rahe haiñ sabhī zamīnoñ par

    zamīñ kisī nahīñ āsmāñ kisī nahīñ

    ab iḳhtiyār zamāne pe hai na is dil par

    kamāl ye hai ki koī yahāñ kisī nahīñ

    uḌā ke le ga.ī pāgal havā zamāne ko

    sabhī ne dekhā ki āb-e-ravāñ kisī nahīñ

    maqām-e-vasl se aage hai lā-makāñ safar

    hudūd-e-vaqt se aage nishāñ kisī nahīñ

    ab eatibar nahin meri jaan kisi ka nahin

    charagh sab ke liye hai dhuan kisi ka nahin

    lakiren khinch rahe hain sabhi zaminon par

    zamin kisi ki nahin aasman kisi ka nahin

    ab iKHtiyar zamane pe hai na is dil par

    kamal ye hai ki koi yahan kisi ka nahin

    uDa ke le gai pagal hawa zamane ko

    sabhi ne dekha ki aab-e-rawan kisi ka nahin

    maqam-e-wasl se aage hai la-makan ka safar

    hudud-e-waqt se aage nishan kisi ka nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now