Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae

Farooq Engineer

ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae

Farooq Engineer

MORE BYFarooq Engineer

    ab ehtirām kahiye use ki Dar ke ga.e

    tire dayār meñ saare savār utar ke ga.e

    hai barg-o-bār girnā to qarz mausam

    havā-e-tund parinde kahāñ shajar ke ga.e

    ho shahr shahr ḳhamoshī kuchh sabab shāyad

    magar vo shor-o-shaġhab bhī to bahr-o-bar ke ga.e

    mirī jaan ke dushman haiñ shāhkār mire

    mire ḳhilāf karishme mire hunar ke ga.e

    har ik savāl dete haiñ saaf saaf javāb

    vo kyā ga.e ki bahāne agar magar ke ga.e

    kisī ke haath meñ patthar kahāñ vo sahn meñ peḌ

    hamāre ahd se mausam shajar hajar ke ga.e

    hameñ bhī kūcha-e-qātil thā chalan ma.alūm

    isī liye to galī meñ tirī sañvar ke ga.e

    to apne chāk-e-garebāñ aa gayā hai ḳhayāl

    tamāshā dekhne jab log idhar-udhar ke ga.e

    na ishq hai vo na ġhālib na āstāñ na vafā

    usī ke saath qisse bhī sañg-o-sar ke ga.e

    safar meñ der talak ham-safar thā ghar fārūq

    nazar meñ duur talak aks bām-o-dar ke ga.e

    ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae

    tere dayar mein sare sawar utar ke gae

    hai barg-o-bar ka girna to qarz mausam ka

    hawa-e-tund parinde kahan shajar ke gae

    ho shahr shahr KHamoshi ka kuchh sabab shayad

    magar wo shor-o-shaghab bhi to bahr-o-bar ke gae

    meri hi jaan ke dushman hain shahkar mere

    mere KHilaf karishme mere hunar ke gae

    har ek sawal ka dete hain saf saf jawab

    wo kya gae ki bahane agar magar ke gae

    kisi ke hath mein patthar kahan wo sahn mein peD

    hamare ahd se mausam shajar hajar ke gae

    hamein bhi kucha-e-qatil ka tha chalan malum

    isi liye to gali mein teri sanwar ke gae

    to apne chaak-e-gareban ka aa gaya hai KHayal

    tamasha dekhne jab log idhar-udhar ke gae

    na ishq hai wo na ghaalib na aastan na wafa

    usi ke sath hi qisse bhi sang-o-sar ke gae

    safar mein der talak ham-safar tha ghar faruq

    nazar mein dur talak aks baam-o-dar ke gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now