Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah

Jan Kashmiri

ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah

Jan Kashmiri

MORE BYJan Kashmiri

    ab guzar jā.egā ye saal bhī lamhoñ tarah

    beTiyāñ aa.ī haiñ sasurāl se pariyoñ tarah

    us se chāheñ bhī to dāman ko chhuḌā sakte nahīñ

    zindagī ham pe musallat hai rivājoñ tarah

    qahat-sālī kare kaun bayāñ shān-e-varūd

    sab pareshān haiñ ujḌe hue khetoñ tarah

    jo diyā ḳhūn-e-riyāzat to hue haiñ taḳhlīq

    saare sheroñ se mujhe pyaar hai bachchoñ tarah

    is ko tum apnī vafā na karishma samjho

    yuuñ bhī mil jaate haiñ kuchh log faqīroñ tarah

    mar ke bhī merā tashaḳhḳhus na koī chhīn sakā

    ilm bāñTā na gayā mere asāsoñ tarah

    'jān' phir kar ke kisī roz ye uḌ jā.eñgī

    beTiyāñ baap ke āñgan meñ haiñ chiḌiyoñ tarah

    ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah

    beTiyan aai hain sasural se pariyon ki tarah

    us se chahen bhi to daman ko chhuDa sakte nahin

    zindagi hum pe musallat hai riwajon ki tarah

    qahat-sali ki kare kaun bayan shan-e-warud

    sab pareshan hain ujDe hue kheton ki tarah

    jo diya KHun-e-riyazat to hue hain taKHliq

    sare sheron se mujhe pyar hai bachchon ki tarah

    is ko tum apni wafa ka na karishma samjho

    yun bhi mil jate hain kuchh log faqiron ki tarah

    mar ke bhi mera tashaKHKHus na koi chhin saka

    ilm banTa na gaya mere asason ki tarah

    'jaan' phir kar ke kisi roz ye uD jaengi

    beTiyan bap ke aangan mein hain chiDiyon ki tarah

    Source:

    Airaf (Pg. 73)

    • Author: Jan Kashmiri
      • Publisher: Maktaba-e-Qirtas, Pakistan
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now