Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar

Sabir Zafar

ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar

Sabir Zafar

MORE BYSabir Zafar

    ab kahīñ aur kahāñ ḳhāk-basar hoñ tire bande kar

    zindagī aur bhī maġhmūm lage shahr se aage kar

    adam-ābād ke logoñ mizāj in dinoñ kaisā hogā

    lauT aane tavaqqo.a ho kisī ko to vo pūchhe kar

    maiñ ghanā peḌ huuñ aayā bhī kabhī jo mire saa.e ko zavāl

    in ḳhizāoñ se bahut duur gireñge mire patte kar

    kaT bhī sakte haiñ shab o roz mire in galī kūchoñ meñ

    lauTnā hai tirī jānib agar tere nagar se kar

    shā.erī phuul khilāne ke sivā kuchh bhī nahīñ hai to 'zafar'

    baaġh koī lagātā ki jahāñ khelte bachche kar

    ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar

    zindagi aur bhi maghmum lage shahr se aage ja kar

    adam-abaad ke logon ka mizaj in dinon kaisa hoga

    lauT aane ki tawaqqoa ho kisi ko to wo puchhe ja kar

    main ghana peD hun aaya bhi kabhi jo mere sae ko zawal

    in KHizaon se bahut dur girenge mere patte ja kar

    kaT bhi sakte hain shab o roz mere in hi gali kuchon mein

    lauTna hai teri jaanib hi agar tere nagar se ja kar

    shaeri phul khilane ke siwa kuchh bhi nahin hai to 'zafar'

    bagh hi koi lagata ki jahan khelte bachche ja kar

    Source:

    Mazhab e Ishq (Pg. 109)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now