ab ke kaam aaenge yaron mein bhi do chaar ke sar
ab ke kaam ā.eñge yāroñ meñ bhī do chaar ke sar
yuuñ hī kāñdhoñ pe liye phirte haiñ bekār ke sar
kyā milegā dar-o-dīvār se yuuñ maar ke sar
apne phir apne haiñ ho jā.iye aġhyār ke sar
'zauq' sāhib ko suḳhan-fahmoñ se aatā hai hijāb
saare ilzām haiñ 'ġhālib' ke taraf-dār ke sar
ghar ko sahrā meñ badalnā bhī hameñ aatā hai
dar nahīñ degī to ho jā.eñge dīvār ke sar
mā'rke un ke sahī jin ko milī hai talvār
jang to ḳhair se jīteñge hamīñ haar ke sar
mehr-o-iḳhlās ko dā've kī zarūrat hī nahīñ
jins to vo hai jo ho jaa.e ḳharīdār ke sar
sar ko ḳham kiije to dastār bañdhe sar pe 'shujā'
boliye kyā hai 'azīz aap ko dastār ki sar
ab ke kaam aaenge yaron mein bhi do chaar ke sar
yun hi kandhon pe liye phirte hain bekar ke sar
kya milega dar-o-diwar se yun mar ke sar
apne phir apne hain ho jaiye aghyar ke sar
'zauq' sahib ko suKHan-fahmon se aata hai hijab
sare ilzam hain 'ghaalib' ke taraf-dar ke sar
ghar ko sahra mein badalna bhi hamein aata hai
dar nahin degi to ho jaenge diwar ke sar
ma'rke un ke sahi jin ko mili hai talwar
jang to KHair se jitenge hamin haar ke sar
mehr-o-iKHlas ko da'we ki zarurat hi nahin
jins to wo hai jo ho jae KHaridar ke sar
sar ko KHam kije to dastar bandhe sar pe 'shuja'
boliye kya hai 'aziz aap ko dastar ki sar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.