Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke mausam mein koi KHwab sajaya hi nahin

Shabana zaidi shabeen

ab ke mausam mein koi KHwab sajaya hi nahin

Shabana zaidi shabeen

MORE BYShabana zaidi shabeen

    ab ke mausam meñ koī ḳhvāb sajāyā nahīñ

    zard pattoñ ko havāoñ ne girāyā nahīñ

    dekh kar jis ko Thahar jaa.eñ musāfir ke qadam

    aisā manzar to koī raah meñ aayā nahīñ

    kyuuñ tire vāste is dil meñ jagah hai varna

    koī chehra mirī āñkhoñ meñ samāyā nahīñ

    us ne bhī maañg liyā aaj mohabbat subūt

    ek lamhe ke liye jis ko bhulāyā nahīñ

    mujh ko tanhā.ī ne gherā hai ka.ī baar magar

    us yādoñ ne magar saath nibhāyā nahīñ

    jis ḳhushbū se mahakte mire ghar ke dar-o-bām

    vaqt ne rañg koī aisā dikhāyā nahīñ

    raushnī apne muqaddar kahāñ hogī 'shabīn'

    jab diyā ham ne añdheroñ meñ jalāyā nahīñ

    ab ke mausam mein koi KHwab sajaya hi nahin

    zard patton ko hawaon ne giraya hi nahin

    dekh kar jis ko Thahar jaen musafir ke qadam

    aisa manzar to koi rah mein aaya hi nahin

    kyun tere waste is dil mein jagah hai warna

    koi chehra meri aankhon mein samaya hi nahin

    us ne bhi mang liya aaj mohabbat ka subut

    ek lamhe ke liye jis ko bhulaya hi nahin

    mujh ko tanhai ne ghera hai kai bar magar

    us ki yaadon ne magar sath nibhaya hi nahin

    jis ki KHushbu se mahakte mere ghar ke dar-o-baam

    waqt ne rang koi aisa dikhaya hi nahin

    raushni apne muqaddar kahan hogi 'shabin'

    jab diya hum ne andheron mein jalaya hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now