Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

Hasan Rizvi

ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

Hasan Rizvi

MORE BYHasan Rizvi

    ab ke yaaro barkhā-rut ne manzar kyā dikhlā.e haiñ

    jalte bujhte chehre haiñ aur maddham maddham saa.e haiñ

    aaj bhī sūraj ke bujhte halkī gahrī shaam huī

    aaj bhī ham ne tanhā ghar meñ añgāre dahkā.e haiñ

    kaun kisī dukh-sukh bāñTe kaun kisī raah take

    chāroñ jānib chalte-phirte ḳhud-ġharzī ke saa.e haiñ

    un yaad meñ pahroñ ronā apnī yahī bas aadat hai

    log bhī kaise dīvāne haiñ hameñ hañsāne aa.e haiñ

    ham pyāsoñ ke dil meñ aag lagāne hai shauq 'hasan'

    phir bādal aaj kisī zulfeñ chhūne aa.e haiñ

    ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

    jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain

    aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui

    aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain

    kaun kisi ka dukh-sukh banTe kaun kisi ki rah take

    chaaron jaanib chalte-phirte KHud-gharzi ke sae hain

    un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai

    log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain

    hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan'

    ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain

    Source:

    Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 46)

    • Author: Hasan Rizvi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now