Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

Haqeer Jahani

ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

Haqeer Jahani

MORE BYHaqeer Jahani

    ab kis justujū ho tirī justujū ke ba.ad

    jachtā nahīñ hai koī tirī aarzū ke ba.ad

    tark-e-vafā ke ba.ad hai tajdīd-e-iltifāt

    misl-e-libās-e-kohna jo pahnā rafū ke ba.ad

    karte haiñ bahkī bahkī bāteñ janāb-e-shaiḳh

    aate haiñ aap hosh meñ sarf-e-subū ke ba.ad

    lāzim nahīñ ki jañg-o-jadal se kaam leñ

    ho jaa.e mas.aloñ jo hal guftugū ke ba.ad

    dil apnā raqīb yuuñ hone lagā 'haqīr'

    koī shaqī kabhī na rahā us adū ke ba.ad

    ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

    jachta nahin hai koi teri aarzu ke baad

    tark-e-wafa ke baad hai tajdid-e-iltifat

    misl-e-libas-e-kohna jo pahna rafu ke baad

    karte hain bahki bahki si baaten janab-e-shaiKH

    aate hain aap hosh mein sarf-e-subu ke baad

    lazim nahin ki jang-o-jadal se hi kaam len

    ho jae masalon ka jo hal guftugu ke baad

    dil apna hi raqib yun hone laga 'haqir'

    koi shaqi kabhi na raha us adu ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now