Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kisi sar mein fasadat ki uftad na ho

Shadab Javed

ab kisi sar mein fasadat ki uftad na ho

Shadab Javed

MORE BYShadab Javed

    ab kisī sar meñ fasādāt uftād na ho

    aish se raat guzar jaa.e tirī yaad na ho

    mujh ko sahrā-e-arab qais taabe na kare

    mere hoñToñ pe koī lailavī fariyād na ho

    un siyah zulfoñ ko allāh salāmat rakkhe

    dām-e-nau shahr-e-dil-āvez meñ ījād na ho

    rasm-e-iz.hār-e-tamanna miTā jaa.e

    koī aañsū tirī dahlīz pe barbād na ho

    merī hastī ko kabhī hast manzil na mile

    un laboñ se bhī mire baare meñ irshād na ho

    aaj shab ho mujhe hosh se āzādī nasīb

    aaj shab to mire dard meñ imdād na ho

    thā baḌā zo'm mire dil ko tire pahlū meñ

    aql sau baar ye kahtī bhī rahī shaad na ho

    ab kisi sar mein fasadat ki uftad na ho

    aish se raat guzar jae teri yaad na ho

    mujh ko sahra-e-arab qais ka tabe na kare

    mere honTon pe koi lailawi fariyaad na ho

    un siyah zulfon ko allah salamat rakkhe

    dam-e-nau shahr-e-dil-awez mein ijad na ho

    rasm-e-izhaar-e-tamanna hi miTa di jae

    koi aansu teri dahliz pe barbaad na ho

    meri hasti ko kabhi hast ki manzil na mile

    un labon se bhi mere bare mein irshad na ho

    aaj ki shab ho mujhe hosh se aazadi nasib

    aaj ki shab to mere dard mein imdad na ho

    tha baDa zo'm mere dil ko tere pahlu mein

    aql sau bar ye kahti bhi rahi shad na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now