Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kya misal dun ruKH-e-raushan-jamal ki

Taseer Siddiqui

ab kya misal dun ruKH-e-raushan-jamal ki

Taseer Siddiqui

MORE BYTaseer Siddiqui

    ab kyā misāl duuñ ruḳh-e-raushan-jamāl

    auqāt kuchh nahīñ hai badaḳhshāñ ke laal

    būḌhe daraḳht par bhī hai mumkin abhī samar

    bas chāhiye nigāh zarā dekh-bhāl

    us ke savāl par mujhe honā thā lā-javāb

    hurmat use aziiz thī apne savāl

    kaise kahūñ ki vasl qissa ḳhuub thā

    rūdād-e-hijr bhī to nahīñ kam kamāl

    unvān muḳhtalif the magar qisse ek se

    har zindagī kitāb thī hijr-o-visāl

    ab kya misal dun ruKH-e-raushan-jamal ki

    auqat kuchh nahin hai badaKHshan ke lal ki

    buDhe daraKHt par bhi hai mumkin abhi samar

    bas chahiye nigah zara dekh-bhaal ki

    us ke sawal par mujhe hona tha la-jawab

    hurmat use aziz thi apne sawal ki

    kaise kahun ki wasl ka qissa hi KHub tha

    rudad-e-hijr bhi to nahin kam kamal ki

    unwan muKHtalif the magar qisse ek se

    har zindagi kitab thi hijr-o-visal ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now