ab main rashan ki qataron mein nazar aata hun
ab maiñ rāshan kī qatāroñ meñ nazar aatā huuñ
apne khetoñ se bichhaḌne kī sazā paatā huuñ
itnī mahñgā.ī ki bāzār se kuchh laatā huuñ
apne bachchoñ meñ use baañT ke sharmātā huuñ
mujh ko Dar hai ki tirā bhed na khul jaa.e kahīñ
merī 'ādat hai ki maiñ niiñd meñ chillātā huuñ
zaḳhmī nīñdoñ kā lahū poñchhne kī koshish meñ
jāgte jāgte thak jaatā huuñ so jaatā huuñ
zulm bhī mujh pe huā mujh pe ye tohmat bhī lagī
maiñ hī duniyā meñ fasādoñ kā janamdātā huuñ
khīñch le jaa.e na chādar hī samajh kar koī
maiñ 'ḳhalīl' aaj kafan oḌh ke so jaatā huuñ
ab main rashan ki qataron mein nazar aata hun
apne kheton se bichhaDne ki saza pata hun
itni mahngai ki bazar se kuchh lata hun
apne bachchon mein use banT ke sharmata hun
mujh ko Dar hai ki tera bhed na khul jae kahin
meri 'adat hai ki main nind mein chillata hun
zaKHmi nindon ka lahu ponchhne ki koshish mein
jagte jagte thak jata hun so jata hun
zulm bhi mujh pe hua mujh pe ye tohmat bhi lagi
main hi duniya mein fasadon ka janamdata hun
khinch le jae na chadar hi samajh kar koi
main 'KHalil' aaj kafan oDh ke so jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.