Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho

Tariq Butt

ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho

Tariq Butt

MORE BYTariq Butt

    ab na.e ruḳh se haqā.eq ko ulaT kar dekho

    jin pe chalte rahe un rāhoñ se kaT kar dekho

    ek āvāz bulātī hai palaT kar dekho

    duur tak koī nahīñ kitnā bhī haT kar dekho

    ye jo āvāzeñ haiñ patthar banā detī haiñ

    ghar se nikle ho to pīchhe na palaT kar dekho

    dil meñ chingārī kisī dukh dabī ho shāyad

    dekho is raakh partoñ ko ulaT kar dekho

    kaun aa.egā kise fursat-e-ġham-ḳhvārī hai

    aaj ḳhud apnī bāñhoñ meñ simaT kar dekho

    chhoḌ jaate haiñ makīñ apne badan ḳhushbū

    ghar dīvāroñ se ik baar lipaT kar dekho

    kuchh tapish aur sivā hotī hai dil 'tāriq'

    ab to jis yaad ke pahlū meñ simaT kar dekho

    ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho

    jin pe chalte rahe un rahon se kaT kar dekho

    ek aawaz bulati hai palaT kar dekho

    dur tak koi nahin kitna bhi haT kar dekho

    ye jo aawazen hain patthar ka bana deti hain

    ghar se nikle ho to pichhe na palaT kar dekho

    dil mein chingari kisi dukh ki dabi ho shayad

    dekho is rakh ki parton ko ulaT kar dekho

    kaun aaega kise fursat-e-gham-KHwari hai

    aaj KHud apni hi banhon mein simaT kar dekho

    chhoD jate hain makin apne badan ki KHushbu

    ghar ki diwaron se ek bar lipaT kar dekho

    kuchh tapish aur siwa hoti hai dil ki 'tariq'

    ab to jis yaad ke pahlu mein simaT kar dekho

    Source:

    Sada-e-mosam-e-gul (Pg. B-65 E-61)

    • Author: Tariq Butt
      • Edition: 1997
      • Publisher: Robeena Naz Tarique
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now