Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai

Wakil Akhtar

ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai

Wakil Akhtar

MORE BYWakil Akhtar

    ab niiñd kahāñ ā.ankhoñ meñ sho.ala bharā hai

    ye tapte hue hoñToñ ko takne sazā hai

    āshob jahāñ-guzarāñ ne ye kiyā hai

    is daur har fard-o-bashar ābla-pā hai

    ai shabnam-e-giryāñ tujhe is bhī patā hai

    kaliyoñ tabassum bhī bahut dard-numā hai

    har ahl-e-havas zīnat-e-ḳhalvat-kada-e-nāz

    har ahl-e-vafā aaj sar-e-dār khaḌā hai

    ik nūr-e-mujassam ke parastār haiñ 'aḳhtar'

    ham kah nahīñ sakte haiñ vo but hai ki ḳhudā hai

    ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai

    ye tapte hue honTon ko takne ki saza hai

    aashob jahan-guzaran ne ye kiya hai

    is daur ka har fard-o-bashar aabla-pa hai

    ai shabnam-e-giryan tujhe is ka bhi pata hai

    kaliyon ka tabassum bhi bahut dard-numa hai

    har ahl-e-hawas zinat-e-KHalwat-kada-e-naz

    har ahl-e-wafa aaj sar-e-dar khaDa hai

    ek nur-e-mujassam ke parastar hain 'aKHtar'

    hum kah nahin sakte hain wo but hai ki KHuda hai

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-064) (Pg. ebook-41 page-39)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now