Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab raste pe koi rukawaT nahin tere

Mahmood Ishqi

ab raste pe koi rukawaT nahin tere

Mahmood Ishqi

MORE BYMahmood Ishqi

    ab rāste pe koī rukāvaT nahīñ tire

    bohtān chaTān ko maiñ ne haTā diyā

    fikroñ ko chīrte hue tere ḳhayāl ne

    TuuTe hue badan meñ nayā dil lagā diyā

    mahfil meñ maslahat se jo bāteñ na kar sakā

    dānishvaroñ ne us ko nishāna banā diyā

    kūche meñ yaar logoñ jab baḌh gayā hujūm

    us ne bhī ehtiyāt parda girā diyā

    chāñdī se paañv chhoḌ ga.e gungunāte naqsh

    pag pag pe jaise diip kisī ne jalā diyā

    ab raste pe koi rukawaT nahin tere

    bohtan ki chaTan ko main ne haTa diya

    fikron ko chirte hue tere KHayal ne

    TuTe hue badan mein naya dil laga diya

    mahfil mein maslahat se jo baaten na kar saka

    danishwaron ne us ko nishana bana diya

    kuche mein yar logon ka jab baDh gaya hujum

    us ne bhi ehtiyat ka parda gira diya

    chandi se panw chhoD gae gungunate naqsh

    pag pag pe jaise dip kisi ne jala diya

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-072) (Pg. ebook-61 page-59)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now