Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab tahaffuz nahin hai jaanon ka

Azeemullah Khan Waqar

ab tahaffuz nahin hai jaanon ka

Azeemullah Khan Waqar

MORE BYAzeemullah Khan Waqar

    ab tahaffuz nahīñ hai jānoñ

    ye hai ehsān hukmarānoñ

    bhuuk iflās aur bīmārī

    mas.ala hai ka.ī gharānoñ

    saarī bastī nigal gayā tūfāñ

    kyā chalegā patā makānoñ

    ho gayā kitnā lālchī insāñ

    ban gayā saañp vo ḳhazānoñ

    tolte haiñ paroñ ko vo apne

    ilm jin ko nahīñ uḌānoñ

    sirf baaqī rahā kitāboñ meñ

    zikr ab shāhī ḳhāndānoñ

    chāhte ho 'vaqār' āzādī

    fidya denā paḌegā jānoñ

    ab tahaffuz nahin hai jaanon ka

    ye hai ehsan hukmaranon ka

    bhuk iflas aur bimari

    masala hai kai gharanon ka

    sari basti nigal gaya tufan

    kya chalega pata makanon ka

    ho gaya kitna lalchi insan

    ban gaya sanp wo KHazanon ka

    tolte hain paron ko wo apne

    ilm jin ko nahin uDanon ka

    sirf baqi raha kitabon mein

    zikr ab shahi KHandanon ka

    chahte ho 'waqar' aazadi

    fidya dena paDega jaanon ka

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 193)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now