ab tak bhi pa sake na jahan nukta dan tujhe
ab tak bhī pā sake na jahāñ nukta daañ tujhe
dīvāngī ne DhūñD liyā hai vahāñ tujhe
ye merā faisla hai kisī kā bhī to nahīñ
kyoñ log kah rahe haiñ mirā mehrbāñ tujhe
tū ne mirī hayāt kā 'ālam badal diyā
phir kaise bhuul jā.ūñ ġham-e-jāvedāñ tujhe
har mū-e-tan se phuuT paḌī hai hasīn yaad
kuchh bhūlne kā 'azm kiyā hai jahāñ tujhe
kab se tirā 'azīz' hai rusvā tire liye
ab tak yaqīn-e-‘ishq nahīñ bad-gumāñ tujhe
ab tak bhi pa sake na jahan nukta dan tujhe
diwangi ne DhunD liya hai wahan tujhe
ye mera faisla hai kisi ka bhi to nahin
kyon log kah rahe hain mera mehrban tujhe
tu ne meri hayat ka 'alam badal diya
phir kaise bhul jaun gham-e-jawedan tujhe
har mu-e-tan se phuT paDi hai hasin yaad
kuchh bhulne ka 'azm kiya hai jahan tujhe
kab se tera 'aziz' hai ruswa tere liye
ab tak yaqin-e-‘ishq nahin bad-guman tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.