Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

Meer Mohammadi Bedar

ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    ab tak mire ahvāl se vaañ be-ḳhabarī hai

    ai nāla-e-jāñ-soz ye kyā be-asarī hai

    ho jaave hai us saf-e-mizhgāñ se muqābil

    is dil ko mire dekhiyo kyā be-jigarī hai

    kis baaġh se aatī hai batā mujh ko ki phir aaj

    kuchh aur tujh meñ nasīm-e-saharī hai

    terā talabgār hai dil donoñ jahāñ meñ

    ne huur juuyā hai ne mushtāq-e-parī hai

    hai aur kuchh āb-o-havā shahr-e-adam

    har shaḳhs jo 'bedār' udhar ko safarī hai

    ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

    ai nala-e-jaan-soz ye kya be-asari hai

    ho jawe hai us ki saf-e-mizhgan se muqabil

    is dil ko mere dekhiyo kya be-jigari hai

    kis bagh se aati hai bata mujh ko ki phir aaj

    kuchh aur hi bu tujh mein nasim-e-sahari hai

    tera hi talabgar hai dil donon jahan mein

    ne hur ka juya hai ne mushtaq-e-pari hai

    hai aur hi kuchh aab-o-hawa shahr-e-adam ki

    har shaKHs jo 'bedar' udhar ko safari hai

    Source:

    Deewan-e-Bedar (Pg. 93)

    • Author: Meer Mohammadi Bedar
      • Publisher: Shahi Press, Madras
      • Year of Publication: 1935

    Source:

    intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 109)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now