Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se

Farida Alam Fahmi

ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se

Farida Alam Fahmi

MORE BYFarida Alam Fahmi

    ab to aa mirī palkeñ haiñ ye pyāsī kab se

    farsh-e-rah baiThī hai aa dekh udāsī kab se

    mujh ko bhī achchhā nahīñ lagtā sañvarnā lekin

    tark ne kiyā ye zauq-e-libāsī kab se

    ghar meñ rishtoñ kaḌī TuuT ga.ī ho jaise

    ghar meñ rahne lagī ik baat zarā kab se

    bāñTtā phirtā hai dar dar mohabbat sab ko

    ghar meñ baiThī hai idhar dekh piyāsī kab se

    dil lubhātī rahī ik umr ye duniyā lekin

    muntazir phuul rahe ghar meñ ye baasī kab se

    yaad aatī nahīñ tujh ko mujhe hairat hai

    muntazir hai kisī dahlīz pe maañ kab se

    baal phailā.e hue phirtī hai nafrat haa.e

    ho chukī 'fahmī' mohabbat ḳhalāsī kab se

    ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se

    farsh-e-rah baiThi hai aa dekh udasi kab se

    mujh ko bhi achchha nahin lagta sanwarna lekin

    tark tu ne kiya ye zauq-e-libasi kab se

    ghar mein rishton ki kaDi TuT gai ho jaise

    ghar mein rahne lagi ek baat zara si kab se

    banTta phirta hai dar dar tu mohabbat sab ko

    ghar mein baiThi hai idhar dekh piyasi kab se

    dil lubhati rahi ek umr ye duniya lekin

    muntazir phul rahe ghar mein ye basi kab se

    yaad aati hi nahin tujh ko mujhe hairat hai

    muntazir hai kisi dahliz pe man si kab se

    baal phailae hue phirti hai nafrat hae

    ho chuki 'fahmi' mohabbat ki KHalasi kab se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now