ab to chehra bhi tera yaad nahin aata hai
ab to chehra bhī tirā yaad nahīñ aatā hai
hosh meñ kyoñ dil-e-nāshād nahīñ aatā hai
vo kisī bhūle hue naġhme kī dhun ke mānind
zehn meñ hai to magar yaad nahīñ aatā hai
zindagī koī kahānī nahīñ sun o paglī
dar-haqīqat koī shahzād nahīñ aatā hai
ab na shīrīñ koī dikhtī hai sar-e-rāh-e-‘ishq
aur nazar ab koī farhād nahīñ aatā hai
ho ke āzād jiyūñ ye use manzūr nahīñ
jaan lene pe bhī sayyād nahīñ aatā hai
ab to chehra bhi tera yaad nahin aata hai
hosh mein kyon dil-e-nashad nahin aata hai
wo kisi bhule hue naghme ki dhun ke manind
zehn mein hai to magar yaad nahin aata hai
zindagi koi kahani nahin sun o pagli
dar-haqiqat koi shahzad nahin aata hai
ab na shirin koi dikhti hai sar-e-rah-e-‘ishq
aur nazar ab koi farhad nahin aata hai
ho ke aazad jiyun ye use manzur nahin
jaan lene pe bhi sayyaad nahin aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.