Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to lab se na jaega aage

Qurban Ali Salik Beg

ab to lab se na jaega aage

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    ab to lab se na jā.egā aage

    naale zor shor thā aage

    dasht-e-ulfat meñ rahnumā kaisā

    maiñ ne rahbar ko dhar liyā aage

    dasht-e-ulfat hai garche duur vale

    dil se kahtā huuñ ye rahā aage

    bevafā.ī agar na kartī umr

    ham dikhāte tumheñ vafā aage

    vo ḳhushāmad meñ ga.e ghabrā

    mujh ko kahnā thā mudda.ā aage

    dekhnā jo na thā so dekh liyā

    dekhiye dekhte haiñ kyā aage

    ishq meñ de ke jaañ huī ye ḳhabar

    aa gayā kuchh diyā liyā aage

    sabr-o-hosh-o-ḳhirad ga.e dil se

    merī āñkhoñ ke ghar luTā aage

    marg-e-āshiq sun ke sab rūdād

    pūchhte haiñ ki kyā huā aage

    'sālik' aur mai-kashī ḳhudā panāh

    kis qadar thā ye pārsā aage

    ab to lab se na jaega aage

    nale ka zor shor tha aage

    dasht-e-ulfat mein rahnuma kaisa

    main ne rahbar ko dhar liya aage

    dasht-e-ulfat hai garche dur wale

    dil se kahta hun ye raha aage

    bewafai agar na karti umr

    hum dikhate tumhein wafa aage

    wo KHushamad hi mein gae ghabra

    mujh ko kahna tha muddaa aage

    dekhna jo na tha so dekh liya

    dekhiye dekhte hain kya aage

    ishq mein de ke jaan hui ye KHabar

    aa gaya kuchh diya liya aage

    sabr-o-hosh-o-KHirad gae dil se

    meri aankhon ke ghar luTa aage

    marg-e-ashiq ki sun ke sab rudad

    puchhte hain ki kya hua aage

    'salik' aur mai-kashi KHuda ki panah

    kis qadar tha ye parsa aage

    Source:

    Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-437 p-405)

    • Author: Qurban Ali Salik Beg
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now